Monday, 13 May 2013

WAQT KA BADALNA,BADALNE KA WAQT!!!

Garm khoon kya aaj sard ho gaya,
Kya bharat ka beta namard ho gaya,
Baitha q hai ankhen moond,
tapakti jab ma k sar se raqt ki boond..

Jhooth,Jamakhori,Bhrastachar
Roj ho rahe balatkar
aurato,baccho par attyachar,
Manawta ho rhe sharmsaar

Garibo me taqat nahi,
Madhyamwarg ko fursat nahi,
Amiro ko jarurat nahi,
Ki dekhe kya galat,kya sahi..

Vidya buddhi mein nahi kisi se kam ,
Phr bhi q itne kamjor hai hum,
Q nahi de sakte hum bapu -nehru ko harsh,
Banakar unke sapno ka bharatwarsh,

Karan tumne socha kabhi,
Nahi,to suno abhi,
Karan koi hai agar,
To bas hamare man me baitha hua dar,

Har baccha agar aaj bapu jaisi himmat dikhaye,
Sikchak dwara cheating kehne par bhi cheting karne se muh chipaye,
to mai shart laga kar keh sakta hu,
Bharat kal hi vikshit desho me shamil ho jaye...

Gar Bharat ki jansankhya me ho gye 1 Crore bhi Balatkaari,
To bhi hum 120 crore q na padte un par bhari,
Q nahi thamta balatkaar,
Qki hume hai bus khud se hi sarokaar,

Acha kiya tha bhagat singh ne,
Ki wo candle le kar sadako par nahi utare,
Behro k kaan kholne k liye,
Fode the assembly me bomb k tukade..

Yaad rakhna,jarurat se jyada sayam kayarta kehlati hai,
Or azadi ki ladai Facebook par nahi ladi jati hai,
Bete,buzdili kabhi ahinsa nahi hoti,
Bharat maa aaj ye keh keh k hai roti...

Chodo ab akhbaar padh k gaal bajana,
Netao or afsaro par saare dosh lagana,
Aaj hi apane man me sankalp dharo,
Bharat tumhara hi ghar hai,
Iski gandagi tum hi saaf karo...

Jis din nikal jayega humare man me baitha dar,
Us din pure vishwa me gunjega bus ek swar..
Jai Jai aryawart,
Jai Jai Bharatwarsh....

Main Tumhari Maun Karuna Ka sahara Chahta Hu

Main tumhari maun karuna ka sahara chahta hu,
kuchal gaya ho jo phool tumhare pairo ke dhool tale,
main bas us phool ko pana chahta hu,
Main tumhari maun karuna ka sahara chahta hu,,

pyar karta raha hu barso se main tumhe,
usi pyar ko ab tumse pana chahta hu,
Main tumhari maun karuna ka sahara chahta hu,,

geet gakar tumhari kaati hai maine akele raahein,
par aaj tuhare saath unhi geeto ko gana chahta hu,
Main tumhari maun karuna ka sahara chahta hu,,

khawwab me gujare hai kai pal maine tumhare saath,
aaj mai us pal ko hakeekat me paana chahta hu,
Main tumhari maun karuna ka sahara chahta hu,,

thak gaya hu main akela chalte chalte,
ab tumhari god me kuch aram paana chahta hu,
Main tumhari maun karuna ka sahara chahta hu,,

jeet chuka hu kaafi kuch duniya ki najaro me ab tak mai,
aaj tumhare saamne khud ko haar jana chahta hu,
Main tumhari maun karuna ka sahara chahta hu,,

kho chuka hu khud ko duniya ki daud bhag me,
aaj tumhare sahare khud ko paana chahta hu,
Main tumhari maun karuna ka sahara chahta hu,,

sapno me ki hai kitni baatein tumse maine,
wo saari baatein main tumhe aaj batana chahta hu,
Main tumhari maun karuna ka sahara chahta hu,,

bharta rha hai waqt hi jakhm mere aj tak,
un jakhmo par tumhare haatho se marham lagwana chahta hu,
Main tumhari maun karuna ka sahara chahta hu,,

ladta hi rha hu kismat se aaj tak mai,
ab tumhare saath kuch lamhe aawara chahta hu,
Main tumhari maun karuna ka sahara chahta hu,,

tumhe khone ke alawa koi dar nahi mujhe,
tumhe ppakar us dar k paar jana chahta hu,
Main tumhari maun karuna ka sahara chahta hu,,

venkatesh